04 November 2026

Khud Se Apne Wajood Tak Lautne Ka Safar

Kisi ne khoob kaha hai,
Sabse lamba hota hai woh raasta,
Jis par bhatak jaane ke baad,
Insaan ko apne hi wajood tak lautna padta hai.

Poori kaaynaat humein aagaah kar rahi thi,
Ki hum galat raah par chal pade hain,
Par humein toh apne dil-e-naadaan ki sunni thi,
Duniya ki aawaazon mein apne dil ki sadaa chunni thi.

Sabne kaha, bikhar jaaoge,
Par humein toh aag ka dariya paar karna tha.
Sunte toh sabki the,
Magar chalte wahi the, jis raah par dil le jaaye,
Bina anjaam soche, bina khud ko samjhaaye.

Raaste mein kai mod aaye,
Kai baar sambhalne ke mauke bhi mile,
Magar humein toh woh rangrez pasand aa gaya tha.
Ab kaun bataaye ki faisla sahi tha ya galat,
Jo dil ne chaha, woh toh kar guzre hum.

Bas isi chaahat ke silsile mein,
Na jaane kab apna hi wajood kho baithe.
Zakhm kuch aise mile,
Ki jism se zyada rooh kaanp uthi.

Ab bas talaash hai us ek mombatti ki,
Jo is andhere safar mein raah dikha sake,
Jo apni lau se humein apne wajood tak pahuncha sake.
Na khud bujhe, na humein phir bhatakne de,
Bas itni roshni de ki hum apne aap ko phir se paa sakein.

Ab kisi rangrez ki rangat mein nahi dhalna,
Ab toh apne hi rang mein lautna hai.
Kisi aur ko paane ki khwahish nahi,
Ab bas apne wajood tak pahunchna hai.

~🖋️Poulami©

No comments: